Jab koi paraya des apna des lagne lagta hai...
Jab kahin paraye log apne log lagne lagte hain..
Jab kahin koi anjaan bhaasha samajhme aani lagti hai..
Jab kahin anjaan chehro ko dekhke aur darr nahin lagta...
Jab kahin ghar jane ka mann nahi karta...
Jab darwaza kholte ki wahi mitthi khushboo swagat karti hai..
Jab kabhi ghar ke samne wala ped mano tumse baat karne lagta hai...
Jab kabhi khidki pe chhoti si nili chiriya aake shor machati hai..
Jab dosti ki paribhasha badalne lagti hai..
Jab sach bolne se aur darr nahi lagta...
Jab galtiyon ko maaf kiya jata hai...
Jab annkhein bhar aati hain ye sochke ki ye sab chhorke ekdin kahin aur jana padega....
Jab yahin meri zindagi ka wo na bhulane wala panna ban jayega....
Jab....